🍀 FATEHA NAAM KYUN?

Zamana RISAALAT MA’AAB ke baad jin masayil aur ahkaam ke naam hamare daur tak mukhtalif asmaa aur mukhtalif tareeqo se tabdeel huye kisi ko ispar inkaar na hai na pahle na ab na hamaey na hamare mukhalifeen ko, iski fahursat taweel hai yahaan namoona mulaheza farmaye ~

Khaerul Quran --- Khutba, Wa’az, Safa, Ashaab

Daur e Haazir --- Taqreer, Lecture, Talib e ilm, Student

Is mauzu ko lekar agar MUFTI FAIZ AHMED OWAISI SAHAB QIBLA likhna shuru karde to ek zakheem kitaab tayyar ho, naam badle kaam badle tareeqe badle

❇ Maslan ahle ilm maulana, allama, quran ke hifz karne waale ko hafiz wagaira wagaira bid’at e asma (Naam) pasand hain to esaal e sawab ke naam, fateha, suwam, daham, chahlam, gyarwi, urs bhi gawara karle lekin jis par WAHABI ka bhoot sawar ho wo gawara na karega.

Lekin agar ye asma bid’at hain to tum bhi apne haan ki murawajja asmaa mazkoora wagaira badal de to ye aetraaz bhi uth gaya ki ye bid’at kabse shuru hain.

✳ Hum kahenge jabse tumhare alqaab, maulvi, maulana, hafiz, allama wagaira wagaira shuru huye
unki tareekh tum bata do fateha o degar asmaa ki tareekh hum bata denge, baherhaal MUFTI FAIZ AHMED OWAISI SAHAB QIBLA ka ye qaeda yaad rahe k naam k badalne se islam nahi bigadta.

--------------------------------------------------------
🖌️Post Credit~ ℹshq e Nabi ﷺ Whatsapp Group

📌 Click Here For Other Part-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/saboot-fateha.html