✒Chapter- 10 " GUSL KE FARA'IZ AUR MASAYEL "
______________________________________
GUSL Ka Mukammal Tariqa Isse Pehle Ke Chapter Me Bataya Ja Chuka Hai.
Gusl Me 3 Chizen Farz Hai, Kisi 1 Farz Pe Amal Na Hua To Gusl Hi Nahi Hoga ~
1). KULLI KARNA :
Is Tarah Ki Muh Ke Har Purze Goshe Hont Se HALAQ Ki Jad Tak Har Jagah Paani Beh Jaye, Aksar Log Zara Sa Pani Muh Me Leke Ugal Dete Hain Ye Kulli Na Hui Jab Tak Zaban aur HALAQ Ki Jad Tak Pani Na Jaye.
Danton Ki Jad Aur Surakhon Me Koi Chiz Phansi Ho To Use Nikale Aur Wahan Tak Pani Pahunchaye.
Haan Dant Agar Taar Ya Kisi Masale Se Jamaya Gaya Ho Aur Wahan Tak Pani Na Pahochta Ho To Maaf Hai.
{📜 Bahar-E-Shariat, Hissa-2, Page-316}
2). NAK ME PANI DALNA :
Hath Ka Katora Bana Kar Pani Le Aur Nak Me Soongh Kar Upar Chadhaye Baal Barabar Bhi Jagah Dhulne Se Reh Na Jaye Warna Gusl Na Hoga, Naak Ki Reenth Andar Sookh Gai Ho To Use Chhudana Farz Hai Neez Nak Ke Balon Ka Dhona Bhi Farz Hai.
{📜 Bahar-E-Shariat, Hissa-2, Page-317}
3). PURE BADAN KA DHONA :
Yani Sar Ke Baal Se Paon Ke Talwon Tak Jism Ke Har Purze Ka Dhona Aisa Ke Har Rangote Par
Pani Beh Jaye Farz Hai.
--------------------------------------------------------
📕 HAQ KI BANDAGI
🖌️Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab Qibla
📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/haq-ki-bandagi.html