Chapter- 7 " WAZU ME MAKRUHAAT "
______________________________________


Mas'ala:

Agar Wazu Na Ho To Namaz Aur Sajda_e_Tilawat Aur Namaz_e_Janaza Aur Quran_e_Pak Ko Chhune Ke Liye Wazu Karna Farz Hai.

{📜 Noorul Izah, Page-18}


Mas'ala:

Tawafe Kaba Ke Liye Wazu Karna Wajib Hai.

{📜 Durre Mukhtar, Volume-1, Page-205}


Mas'ala:

Gusl_e_Janabt ```(Biwi Se Sohbat Ki To Gusl Farz Hua, Us Gusl Ko Gusl_e_Janabt Kehte Hain, Miya Aur Biwi Dono Pe Gusl Farz Hai)``` Se Pehle Aur Jumbi ```(Sohbat Ke Baad Jispe Gusl Farz Hua)``` Ko Khane Peene Se Pehle, Aur Sote Waqt, Azan Aur AQAMAT, JUMA Aur EIDAIN Ke Khutbe Ke Liye Aur Sarkar Sal'lallahu Alaihi Wasallam Ke Roza_e_Pak Ki Ziyarat Ke Liye, Waqufe Arfa, Safa Aur Marwah Ki Saee Ke Liye Wazu Karna Sunnat Hai.

{📜 Bahare-E-Shariat, Hissa -2, Page-302}


Mas'ala:

Sote WAQT Aur Uthne Ke Baad, Mayyat Ko Nehlane Ya Othane Ke Baad, Aur Sohbat Se Pehle, Quran Ko Zuban Se Padhne Ke Liye, Aur Jab Gussa Aaye, Hadees Aur ILME DEEN Padhne Aur Padhane Se Pehle, Juma Aur Eidain Ke Khutbo Ke Ilawa Aur Khutbo Ke Liye (Jaise Nikah Ka) Aur Deeni Kitabo Ko Chhune Se Pehle, Satre Galeez (Aurat Ya Mard Ki Sharamgah) Chune Ke Bad, Jhoot Bolne Aur Gali Dene, Ganda Lafz Zuban Se Nikalne, Kafir Se Badan Chhu Jane Ke Baad,
Saleb Ya But Chhune, Kodhi Ya Safed Dag Wale Ko Tuch Hone, Bagal Khujane Se Jab Ki Usme Bad-Boo Ho, Gibat Karne Zor Zor Se Hansne, Bekar Ke Sher Padhne Aur Oont Ka Gosht Khane, Kisi Aurat Se Badan Tuch Ho Aur Beech Me Koi Kapda Na Ho In Sab Surton Me Wazu Karna Mustahab (Achcha) Hai.

{📜 Bahare-E-Shariat, Hissat-2, Page-302}

--------------------------------------------------------
📕 HAQ KI BANDAGI

🖌️Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab Qibla

📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/haq-ki-bandagi.html