💟 Hadees Shareef 4:
❇ Hazrat Abdullah Bin Umru Bin Al-'Aas رضي الله عنهما Se Riwayat Hai Ke Nabi Kareem ﷺ Ne Ek Roz Namaaz Ka Zikr Kiya To Farmaya Ki ~

Jo Shakshs Namaaz Ki Pabandi Karega To Namaaz Uske Liye Noor Ka Sabab Hogi,

Kamal-e-Imaan Ki Daleel Hogi Aur Qayamat Ke Din Bakshish Ka Zariya Banegi.

✴ Aur Jo Namaaz Ki Pabandi Nahi Karega Uske Liye Na To Noor Ka Sabab Hogi Na Kamal-e-Imaan Ki Daleel Hogi Aur Na Bakshish Ka Zariya.

Aur Qayamat Ke Din Qaroon, Firaun, Haroon Aur Ubay bin Khalaf Ke Hamrah Hoga.

📚(Ahmed, Darmi, Baihaqi)


--------------------------------------------------------
🖌️Post Credit~ ℹshq e Nabi ﷺ Whatsapp Group

📌 Click Here For Other Part-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/namaz-ki-ahmiyat.html