Anjeer buniyaadi taur par mashrike wusta aur asiayi kochak ka fal hai agar che ab ye hindustan me bhi paaya jaaya hai magar musalmano ki hindustan me aamad se pahle iska koi suraag nahin milta, isliye yahi sahi hai ki ise musalman hi hindustan lekar aaye aur iski kaasht ki magar 1000 saal guzar jaane ke baad bhi aaj iski kaasht is taur par nahin ki jaati ki wo tamam logon ki zarurat ko poora kar sake lihaza turki, italy, spain, purtgal, iran, pelestine, shaam aur lebnan se isi mangaya jaata hai, kahte hain falon me ye sabse naazuk fal hai ki pakne ke baad khud hi ped se gir jaata hai aur doosre din tak ise mahfooz rakhna mushkil ho jaata hai so ise sukhakar hi istemal laayaq banaya jaata hai, iske fazayal ke liye itna hi kaafi hai ki quran me ALLAH tabarak wa taala iski kasam yaad farmata hai, irshaad farmaya ~

KANZUL IMAAN - Kasam anjeer aur zaitoon ki

📕 Paara 30, surah teen, aayat 1


TAFSEER - Anjeer ek umda meva hai jisme fuzla nahin hai bahut tezz hazam hone waala jigar aur mede ki islah karne waala balgum ko nikaalne waala aur kamzor jism ko farba karne waala hai.

📕 Khazayenul irfan, safah 709


HADEES - Huzoor sallallahu taala alaihi wasallam ki baargah me anjeer se bhara hua ek tasht aaya to aap farmate hain ki agar koi kahe ki kya jannat se fal zameen par aa sakta hai to main kahunga yahi hai wo, to ise khao ki anjeer bawaseer ko khatm kar deti hai aur gathiya yaani jodo ke dard me mufeed hai.

TIB - Iske alawa ye gurde aur pitt se pathri ko todkar nikaal dene me kaargar hai magar baasi munh 6 daane ke anjeer ke saath kalaunji aur kaasni (hindba-chicory) ka muraqqab istemal karen, halaq ki sojish seene par bojh fefdon ki soojan jigar aur tilli ki safayi peit se hawa nikaalna aur agar iske saath badaam milakar khaaya jaaye to peit ki bahut saari bimariyon ka ilaaj ho jaaye, purani khaansi aur pyas ki shiddat ko kam karta hai agar che ye khud meetha hai magar sugar ke mareez ko nuksan nahin pahunchata, purani kabz dama khaansi chehre ka rung nikharne ke liye 5 daane jabki motapa
kam karne ke liye 3 daane hi kaafi hai, aurat ko haiz ki takleef se nijaat ke saath saath uske doodh badhane me bhi mufeed hai, khoon ki naaliyon me jami huyi galazat ko saaf karta hai aur blood presure ke mareez ko raahat deta hai.

TARIQA - Raat ko 5 ya 7 anjeer ko dhokar paani me bhigo dein aur subah baasi munh anjeer ko kha lein aur us paani ko kapde se chaankar piyen taaki usme baitha hue gard chhan jaaye warna nuksaan deh ho sakta hai.

📕 Tibbe nabwi aur jadeed sayins, safah 17-27

--------------------------------------------------------
🖌️Post Credit~ Naushad Ahmad Zeb Razvi (Zebnews)

📌 Click Here For Relative Post-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/mix-topic-roman.html