--------------------------------------------------------
 بسم الله الرحمن الرحيم
--------------------------------------------------------

✳️ Namaz tamaam zaruriyaat_e_deen par dil_o_jaan se imaan lane k baad pehla farz hai. Namaz aesa farz hai jo kisi surat muaaf nahi hai, agar khade hokar nahi padh sakte to baithkar Namaz padhna agar baith kar nahi padh sakte to let kar ishaaro se Namaz padhna laazim hai.

☀ Is farz ki ehmiyat ka andazah is baat se lagayiye k aadmi aankho se andha hai kaano se behra hai zubaan se bol nahi sakta haath aur pairo se mazoor hai ab kya cheez baaqi reh gayi hai in surton me bhi namaz muaaf nahi.


NAMAZ K FAWAED

1).  Namaz pareshaniyo aur bimariyo ko dur karti hai.

2). Namaz rozi me khair o barkat laati hai.

3). Namazi ko duniya mein, aakhirat mein, qabar mein, hashr mein surkhuruyi yaani kamiyaabi ata ki jaati hai.


NAMAZ CHODNE K NUQSANAAT

1). Benamazi ka hashr firaun, hamaan k saath hoga.

2). Benamazi jab marega to puri duniya ka paani pila diya jaaye magar uski pyaas nahi bujhegi.


3). Benamazi ki qabar mein saanp aur bichoo masallat kardiye jaayenge.


Ye sab azaab benamazi k liye hain, benamazi wo nahi jo saal ya mahine me ek din ki bhi namaz na padhe balke benamazi wo hai jo saal ya mahine me ek waqt ki namaz chod de.

📚  Sirat ul Abraar

--------------------------------------------------------
🖌️Post Credit~ ℹshq e Nabi ﷺ Whatsapp Group

📌 Click Here For Relative Post-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/mix-topic-roman.html