✒Chapter- 3 " NAPAK CHIZON KE PAK KARNE KA TARIQAH "
______________________________________
Mas'ala:
Kapde Ko 3 Martaba Dho Kar Har Baar Khoob Nichoda Tha Phir Use Sukhne Latkaya Ab Usse Koi Qatra Gire To Wo Pani Ka Qatra Pak Hoga.
Agar Khoob Nahi Nichoda Tha To Ye Pani Bhi Napak Hoga.
📜{Bahare-E-Shariat Hissa-2, Page-399}
Mas'ala:
Doodh Pite Ladke Ya Ladki Ke Peshab Ka Eik Hi Hukm Hai.
Kapde Ya Badan Pe Laga To 3 Baar Dhona Aur Nichorna Padega.
📜{Bahare-E-Shariat, Hissa-2, Page-399}
Mas'ala:
Jo Chiz Nichodne Ke Qabil Nahi (Juta, Chappal, Chatai, Bartan Etc) Use Dho Kar Chhod Den Ki Pani Tapakna Band Ho Phir Yun Hi 2 Martaba Aur Dhoyen Tisri Martaba Jab Pani Tapakna Band Ho Gaya To Wo Chiz Pak Ho Gai.
Aisa Hi Jo Kapda Nazuk Ho Ki Nichodne Se Phat Jayga Use Bhi Yun Hi Pak Kare.
📜{البحرالرائق، کتاب الطھارہ، باب الأنجاس، جلد-۱صفحہ-۴۱۳}
Mas'ala:
Agar Aisi Chizen Hai Ki Usme Najasat Jazb Na Ho Jaise Lohe, Tambe, Pital, Steel, Jarman Ki
Dhaton Ke Bartan To Use FAQAT 3 Baar Dhona Hi Kafi Hai.
📜{Bahare-E-Shariat, Hissa-2, Page-399}
--------------------------------------------------------
📕 HAQ KI BANDAGI
🖌️Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab Qibla
📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/haq-ki-bandagi.html