✒Chapter- 3 " NAPAK CHIZON KE PAK KARNE KA TARIQAH "
______________________________________
Kya Chizen Napak Hain Aur Kis Darje Ki Napak Hain Aur Kitni Miqdar Me Najasat Lage To Kya Hukm Hoga Ye Sab Guzar Chuka.
Ab Napaki Kapde Ya Badan Pe Lage To Kaise Pak Kiya Jaye ?
Mas'ala:
Jo Cheez Khud Se Napak Nahi Balki Kisi Napaki Ke Lagne Se Napak Hui Unke Pak Karne Ke Mukhtalif Tariqe Hain.
Paani Aur Har RAQEEQ Behne Wali Chiz Se Dhokar Najis Chiz Ko Pak Kar Sakte Hain.
Masalan Sirka Aur Gulab Se Bhi Najasat Door Kar Sakte Hain, Magar Bagair Zarurat Gulab Aur Sirka Se Pak Karna Fuzool Kharchi Hai
📕 {Bahare-E-Shariat, Hissa-2, Page-397}
Mas'ala:
Thook Se Agar Najasat Door Ho To Thook Se Bhi Pak Ho Jayega.
📕 {FATWA ALAMGIRI, Jild-1, Page-45}
Mas'ala:
Najasat Agar Daldar Ho (Jaise Pakhana, Gobar, Khooon Etc) To Dhone Me Ginti Ki Koi Shart Nahi
Balki Use Door Karna Zaroori Hai, Agar 1 Baar Dhone Se Door Ho To 1 Baar Me Pak Ho Jayega, Agar 5 Martaba Dhone Se Pak Hota Ho To 5 Martaba Dhona Padega. Haan Agar 3 Baar Se Kam Me Pak Ho Gaya To Pura 3 Martaba Dho Lena Mustahab (Achcha) Hai.
📕 {الفتاوٰی الھندیة، کتاب الطھارة، الباب السابع في النجاسة وأحكامھا، الفصل الأول، جلد-۱، صفحہ-۴۱}
--------------------------------------------------------
📕 HAQ KI BANDAGI
🖌️Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab Qibla
📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/haq-ki-bandagi.html