✳️  Shaan e Imam e Ahle Sunnat Mujaddid e Deen o Millat Aala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan رضي الله عنه Faazil e Bareilly 
 بسم الله الرحمن الرحيم 
 
➡️ Doosri martaba jab Ziyarat e Haramain Shareefain ke liye Madina Tayyaba mein hazir huwe, to shauk e deedar mein muwajah e shareef ke saamne khade ho kar rote rahe.

Darood o Salaam pesh karte rahe aur yeh ummeed lagaaye khade rahe ke aaj Huzoor ﷺ zaroor nigaahe karam farmayenge aur apni ziyarat se zaroor musharraf farmayenge.

Lekin uss shab ziyarat na ho saki, Aapka dil bahut toota aur ussi toote huwe dil ke saath ek kalaam aapne likha, Jis ke pehle chand ash'aar yeh hain-

Wo sue lalazaar phirte hain, Tere din ae bahaar phirte hain
Us gali ka gada hu maiñ jis mein, Maangte taajdar phirte hain


🔆 Isi maqta mein apni qalbi aarzu poora na hone ki taraf isharah karte huwe badi aajzi wa inkesari k saath dard bhare andaz me aap ne farmaya~

💔 Koi kyuñ puche teri baat RAZA
💔 Tujhse kutte hazaar phirte hai

Ye naat likh kar muwajahe shareef ke samne dast basta khade ho
kar apni qalbi kaifiyat Huzoor ﷺ k saamne arz kardi.


Phir RasoolALLAH ﷺ ne karam farmaya aur aisa karam farmaya ke aalame khwaab mein nahi balke aalame mushahidah mein bachashme sar bedaari ki halat mein usi raat apni ziyarat se musharraf kardiya.


 سُــــبْحانَ الله


🅿hir aalahazrat ne apne isi chain aur qaraar ko apne ek shair me yuñ bayan farmaya~


Ek Tere rukh ki raushni chain hai do jahañ ki
Anas ka anas ussi se hai jaan ki woh hi jaan hai


📚  #Sawanae Aala Hazrat

--------------------------------------------------------
🖌️Post Credit~ ℹshq e Nabi ﷺ Whatsapp Group

📌 Click Here For Relative Post-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/mix-topic-roman.html