577 hijri mulke shaam ki baat hai us waqt wahan ke baadshah sultane aadil hazrat Nooruddin jungi rahmatullah taala alaihi the, ek raat aap tahajjud ki namaz padhkar so rahe thi achanak ek hi raat me 3 baar ye khwab dekha ki Huzoor Sallallahu Taala Alaihi Wasallam aapko 2 logon ki surat dikhakar farma rahe hain ki ae Nooruddin in dono ko mujhse juda karo ye khwab dekhkar baadshah bahut bechain huye aur apne aalim wazeer Jamaal uddin moosli se iski tabeer poochhi to wo farmate hain ki zaroor madina tayyabah me koi bada haadsa hua hai ya hone waala hai lihaza bina der kiye hame wahan pahunchna chahiye, baadshah ne sirf apne khaas 20 logon ke saath kaseer daulat lekar madina ka safar kiya aur 16 din ke baad madina pahunche, Masjide Nabwi sharif me 2 rakat nafl shukrana ada ki aur apne wazeer ke zariye ye elaan karwaya ki baadshah yahan ziyarat Nabwi ke liye haazir huye hain aur tamam logon ko nazrana pesh karna chahte hain isliye tamam ahle madina se guzarish hai ki wo aakar hadiya qubool karen, ye elaan sunkar logon ka hujoom lag gaya hai aur sab aakar nazrana Le rahe aur baadshah sabko bagaur dekhte rahe magar wo 2 shaklo waale nahin dikhe aur tamam log ja chuke the, baadshah ne wahan ke sardaar se poochha ki kya ab bhi koi bacha rah gaya hai to unhone bataya ki yahan ke rahne waala to koi nahin bacha haan magar 2 log jo ki bahut hi muttaqi wa parhezgar hain hamesha namaz wa azkaar me hi lage rahte hain aur khud bahut maaldar hain ki aksar garibon ki madad karte rahte hain wahi dono nahin aaye hain, baadshah ne un dono ko bhi talab farmaya jab wo aayein to unki aankhen khuli ki khuli rah gayi ye dono wahi khwab waale shakhs the.

Baadshah un dono ko lekar unke kamre tak pahunche jo ki rauzaye anwar se kuchh hi doori par tha jab andar jaakar dekha to wahan darhamo deenar ke dher lage huye the, baadshah ne poochh taachh ki magar koi suraag na mila wo yahi kahte rahe ki hume aapke nazrane ki zarurat na thi isliye haazir nahin huye, sipahiyon ne poore ghar ka muaayna kar liya magar kuchh haath na laga tab baadshah ne zameen se kaleen hatane ko kaha to wahan ek surang nazar aayi ab baadshah ne un dono ko kode lagwane shuru kar diye to un logon ne ye raaz khola ki hum rome ki eesayi hain aur hame yahan Huzoor Sallallahu taala alaihi wasallam ki laash mubarak ko laane ke liye bheja gaya tha kyunki musalmano ki asli taaqat unhi se hai to hum unke jasde mubarak ko hi yaha se hata dete, hum raat bhar surang ke zariye mitti nikaalte aur subah wo mitti thailo me bharkar janntul baqi me phenk aate the ab shayad ek ya do din ka kaam hi rah gaya tha ki hum bilkul rauzaye anwar tak pahunch gaye the magar aap aaye hamari giraftaari ho gayi, baadshah ne un dono ko qatl karwa diya aur rauzaye anwar ki gahri buniyaad khudwakar usme pighla hua sheesha bharwa diya ki aayinda kisi naapak ke dimaag me bhi yahan naqab lagane ka khayal na aaye, aur jab tak ye saara kaam hota raha baadshah salamat wahi khade rote rahe aur yahi kahte rahe ki main apni kismat par kis qadar naaz karun ki mere Sarkaar Sallallahu taala alaihi wasallam ne poori duniya me mujhe is kaam ke liye chuna aur apna deedar karaya.

📕 Ruhani hikayat, jild 2, safah 11


Duniya ke tamam dharam waale ye baat achchhi tarah se jaante hain ki musalmano ka markaz
madina hai aur unki taaqat Huzoor Sallallahu taala alaihi wasallam ki zaate muqaddasa isi liye kuchh jaahil aksar musalmano ko kamzor karne ke liye Huzoor Sallallahu taala alaihi wasallam ki zaate babarkaat par hamla karte rahte hain magar wo ye nahin jaante ki in sab baaton se musalman kamzor nahin hota balki apne nabi par jaano maal qurbaan karne ka uska jazba aur buland ho jaata hai, yahan ek aitraaz ko dafa karta chalu ki Huzoor Sallallahu taala alaihi wasallam to maaliko mukhtar hain to kyun unhone khud apne aap ko na bacha liya to iska jawab ye hai ki beshak wo maaliko mukhtar hain wo chahen to aan ki aan me kaaynat ko palat kar rakh dein magar wo khud aisa karte to kisi ko pata na chalta aur wo dono mar khapkar kahin pade rah jaate isliye kisi ke zariye un logon ko saza dilwakar aayinda aane waale logon ko aagah bhi kar diya aur musalmano ki azmato bulandi ka markaz bhi tai farma diya.

--------------------------------------------------------
🖌️Post Credit~ Naushad Ahmad Zeb Razvi (Zebnews)

📌 Click Here For Relative Post-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/mix-topic-roman.html