🌐 GAIR MUQALLIDEEN K DEEN KI BUNIYAAD DEEN MEIN FIQH O TAQLEED K INKAAR PER MUBNI HAI WO USKO KUFR O SHIRK KEHTA HAI AUR AAMIL BIL HADEES HONE KA DAAWA KARTA HAI

♻  AAYIYE ALLAH TA’ALA KYA IRSHAD FARMATA HAI MULAHEZA KARIYE

☪ وَمَا كَانَ الْمُؤْمِنُونَ لِيَنفِرُوا كَافَّةً ۚ فَلَوْلَا نَفَرَ مِن كُلِّ فِرْقَةٍ مِّنْهُمْ طَائِفَةٌ لِّيَتَفَقَّهُوا فِي الدِّينِ وَلِيُنذِرُوا قَوْمَهُمْ إِذَا رَجَعُوا إِلَيْهِمْ لَعَلَّهُمْ يَحْذَرُونَ

✳ AUR MUSALMANO SE YE TO HO NAHI SAKTA K SAB KE SAB NIKLE TO KYUN NA HO K UNKE GIROH MEIN SE EK JAMAAT NIKLE K DEEN KI SAMAJH HAASIL KARE AUR WAAPAS AAKAR APNI QAUM KO DARR SUNAYE IS UMEED PER K WO BACHEY.
📗   (SURAH TAUBA, AAYAT 122)


1⃣  IS AAYAT E KAREEMA SE MALUM HUA K DEEN MEIN FIQHI MASAEL SEEKHNA FARZ E KIFAAYA HAI KYUNKE HAR MOMIN TO ISKA HAAMIL NAHI HO SAKTA.

2⃣  HUKUM HUA K HAR GIROH SE EK TUKDA NIKLE AUR DEEN KI FIQH HAASIL KARE AUR WAAPAS AAKAR QAUM KO DARR SUNAYE AUR DEEN K FIQHI MASAEL BATAYE.

3⃣  FUQAHA APNI QAUM KO DARR SUNAYE YAANI EHKAAM E ILAAHI BATAYE K WO HARAAM O GUNAH SE BACHE.

4⃣  YE USI SURAT MEIN HOGA K QAUM FUQAHA KI TAQLEED KARE AUR UNKE HUKUM PER CHALE.

5⃣  IS AAYAT E KAREEMA MEIN TO قَوْمَهُمْ FARMAYA YAANI SAB QAUME APNE APNE
FUQAHA KI TAQLEED KARE AUR UNKE EHKAAM KO JI O JAAN SE MAAN LE.

ALHAMDULILLAH, ALLAH TA’ALA KE ISI EK IRSHAD NE FUQAHA KA FIQH SEEKHNA AUR QAUM KO UN FUQAHA KI TAQLEED KARNA FARZ BATAYA HAI, GAIR MUQALLID DONO K MUNKIR HAI.

--------------------------------------------------------
🖌️Post Credit~ ℹshq e Nabi ﷺ Whatsapp Group

📌 Click Here For Relative Post-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/mix-topic-roman.html