Ab Hazrat Khizr Alaihissalam Ka Doosra Waqiya Suniye Iska Bhi Zikr Quran Me Maujood Hai ~
Huzoor Sallallahu Taala Alaihi Wasallam Irshaad Farmate Hain Ki Ek Martaba Bani Israyil Ne Hazrat Moosa Alaihissalam Se Poochha Ki Is Waqt Rooye Zameen Par Sabse Bada Aalim Kaun Hai To Aapne Farmaya Ki Main Hoon Aapki Is Baat Me Thoda Sa Guroor Ka Pahlu Tha Lihaza Rub Ne Itaab Farmate Huye Unse Kaha Ki Ae Moosa Tumse Bada Aalim Bhi Is Zameen Par Maujood Hai Yaani Ki Hazrat Khizr Alaihissalam, Unka Zikr Maula Taala Quran Muqaddas Me Kuchh Yun Irshaad Farmata Hai ~

KANZUL IMAAN - To Hamare Bando Me Se Ek Banda Paaya Jise Humse Apne Paas Se Rahmat Di Aur Use Apna Ilme Ladunni Ata Kiya.


Ab Jab Hazrat Moosa Alaihissalam Ne Suna To Apne Kahe Par Naadim Huye Aur Us Shakhs Se Milne Ki Iltija Ki, RUB Ne Unhein Apne Saath Ek Bhuni Huyi Machhli Lekar Safar Karne Ko Kaha Aur Farmaya Ki Jahan Par Do Samandar Yaani Bahre Faaras Aur Bahre Room Milenge Yaani Majmaul Bahrain To Wahin Par Tumhari Ye Machhli Paani Me Gum Ho Jayegi Aur Tum Unko Pa Sakoge.

Hazrat Moosa Alaihissalam Apne Hone Waale Wali Ahad Hazrat Yoosha Bin Noon Alaihissalam Ke Saath Ek Machhli Ko Lekar Do Samandaro Ke Milne Ki Jagah Ko Dhoondne Nikal Pade, Dono Hazraat Ne Paani Ka Safar Shuru Kiya Ek Jagah Hazrat Moosa Alaihissalam Ko Neend Aa Gayi Aur Wo Bhuni Huyi Machhli Zinda Hokar Paani Me Kood Gayi Aur Ek Koh Sa Raasta Banate Hue Nikal Gayi Hazrat Yoosha Alaihissalam Ne Dekha To Magar Unhein Hazrat Moosa Alaihissalam Ko Batana Yaad Na Raha Aur Safar Jaari Rakha, Kuchh Der Baad Jab Hazrat Moosa Alaihissalam Ki Aankh Khuli To Aapne Khaane Ke Liye Wahi Machhli Maangi Tab Hazrat Yoosha Alaihissalam Ko Khayal Aaya Aur Unhone Saari Baat Hazrat Moosa Alaihissalam Ko Batayi, Tab Dono Hazraat Waapas Laute Aur Wahin Pahunche To Dekha Ki Paani Thahra Hua Hai Aur Usme Mehraab Ki Tarah Raasta Bana Hua Hai Dono Usi Raaste Par Chal Diye Kucch Door Aage Badhe To Ek Chattan Ke Qareeb Ek Shakhs Chaadar Odhe Leta Hua Tha Yahi Hazrat Khizr Alaihissalam The, Dono Hazraat Unke Paas Pahunche Salaam Kiya Jawab Mila Tab Hazrat Moosa Alaihissalam Ne Unhein Apne Aane Ka Maqsad Bataya Ki Unhein Bhi Kuchh Ilm Haasil Karna Hai Lihaza Unhein Apne Saath Rakhen, Magar Hazrat Khizr Alaihissalam Ne Mana Kiya Ki Tum Hamare Saath Hargiz Na Rah Sakoge Kyunki Hamare Kaam Par Tumse Sabr Na Ho Sakega Ispar Hazrat Moosa Alaihissalam Farmate Hain Ki Beshak Main Sabr Karunga To Hazrat Khizr Alaihissalam Ne Is Shart Par Ki Aap Unse Koi Sawal Nahin Karenge Unhein Apne Saath Rahne Ki Ijazat De Di.

Ab Wo Teeno Ek Saahil Par Pahunche Bahut Koshish Ki Ki Koi Naav Waala Unhein Dariya Ke Us
Paar Chhod De Magar Unke Paas Darhamo Deenar Na The Lihaza Keemat Na Milne Ki Wajah Se Kisi Ne Bhi Unhein Us Paar Nahin Pahunchaya, Aakhir Kaar Ek Neik Kashti Waale Ne Bina Keemat Ke Aap Logon Ko Us Paar Chhodne Ke Liye Kashti Me Bitha Liya Magar Jab Kashti Beech Raaste Me Pahunchi Hazrat Khizr Alaihissalam Ne Uski Kashti Tod Daali Aur Usme Chhed Kar Diya, Ye Dekhkar Hazrat Moosa Alaihissalam Se Sabr Na Hua Aur Aapne Unse Kah Diya Ki Ek To Koi Hamein Is Paar Chhodne Ko Taiyar Na Tha Ek ALLAH Ke Bande Ne Hum Par Ehsaan Kiya Aur Aapne Uski Kashti Tod Di, Is Par Hazrat Khizr Alaihissalam Bole Ki Maine Pahle Hi Kaha Tha Ki Tum Hamare Saath Nahin Rah Sakoge Fauran Hazrat Moosa Alaihissalam Ne Maafi Maangi Aur Aage Se Aisa Na Karne Ka Waada Kiya, Phir Teeno Hazraat Aage Badhe.

Ek Jagah Kuchh Ladke Khel Rahe The Usme Ek Ladka Jo Sab Me Haseen Tha Jiska Naam Jeesoor Ya Zanbatoor Tha Hazrat Khizr Alaihissalam Ne Usko Qatl Kar Diya, Apne Saamne Ek Mazloom Ka Qatl Hote Dekh Hazrat Moosa Alaihissalam Se Zabt Na Ho Saka Aur Aap Gusse Me Phir Bol Pade Ki Aapne Jaan Ko Qatl Kar Daala, Hazrat Khizr Alaihissalam Ne Unhein Unki Baat Yaad Dilayi To Is Par Unhone Maazrat Chahi Ki Ek Aur Mauqa De Dijiye Ki Agar Abki Baar Maine Kuchh Kaha To Phir Mujhe Apne Se Juda Kar Dijiyega, Hazrat Khizr Alaihissalam Ne Unki Baat Maan Li Aur Sabhi Phir Aage Badh Chale.

📕 Paara 15, Surah Kahaf, Aayat 60-82
📕 Tazkiratul Ambiya, Safah 331

--------------------------------------------------------
🖌️Post Credit~ Naushad Ahmad Zeb Razvi (Zebnews)

📌 Click Here For Relative Post-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/hazrat-khizr-alaihissalam-roman.html