✒Chapter- 3 " NAPAK CHIZON KE PAK KARNE KA TARIQAH "
______________________________________


Mas'ala:

Kapde Ya Hath Pe Napak Rang Laga Ya Napak Menhdi Lagai To Itni Martaba Dhoyen Ke Saaf Paani Girne Lage Pak Ho Jayga AgarChe Phir Bhi Uska Rang Baqi Ho.
📕{FATHUL QADEER, Volume-1, Page-184}

Mas'ala:

Kapdo Me Agar Mani Mazi Wadi Ya Sharab Jaisi Koi Patli Napaki Lagi To Use Pak Karne Ka Tariqah Ye Hai👇.

Sirf us Kapde Ko 3 Martaba Saaf Paani Me Daal Kar Hath Se Napaki Ki Jagah Mal Len Aur Phir Puri Taqat Se Nichoden Taqat Itni lagayen Ki Usme Dobara Nichodne Se Koi Qatra Na Nikle, Jisne Nichoda Uske Baad Agar Koi Dusra Nichode To Ye Kapda Us Dusre Ke HAQ Me Pak Na Hoga Pehle Wale Ke Haq Me Pak Ho Gaya.

Is Tarah in Kapdo Ko 3 Bar Puri Taqat Se Nichoda Jaye.

Pehli Aur Dusri Bar Nichodne Par Hath Bhi New Pani Se Dhul Len 3ri Bar Me Kapda aur Hath Dono Pak Hai.
📕{Durre Mukhtar, Jild-1, Page-594}

Hamare Kuch Bhai Napak Kapde Ghar Ki Aurton Se Dhulwate Hain Kya Aurten Aap Se Ziyadah Taqat Ke Saath Kapda Nichod Payengi?

Nahi Na, To Kapda Kaise Pak Hua? Wo To Ab Bhi Napak Hai Na Uspe To Aapki Namaz Hi Nahi Hui.

Aur Aurten To Ghar Me Sab Kapde 1 Saath Mila Kar Dhoti Hai Isse To Pak Kapde Bhi Napak Hi
Honge.

Is Liye Apne Napak Kapde Apne Hathon Se Aur Sirf Unhi Kapdo Ko Dhulen Taki Paki Na Paki Ka Khoob Khayal Rahe.

--------------------------------------------------------
📕 HAQ KI BANDAGI

🖌️Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab Qibla

📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/haq-ki-bandagi.html