◼️ Hazrat Khizr Alaihissalam Aur Hazrat Ilyas Alaihissalam Dono Har Saal Hajj Ke Mauqe Par Milte Hain Hajj Wa Umra Karte Hain Aabe Zam-Zam Sharif Peete Hain Jo Ki Unke Liye Saal Bhar Ki Giza Ka Kaam Karta Hai, Aur Baitul Muqaddas Me Dono Hazraat Ramzan Sharif Ka Roza Bhi Rakha Karte Hain.

📕 Fatawa Razviyah, Jild 9, Safah 108
📕 Zarkani, Jild 5, Safah 354


Huzoor Sallalahu Taala Alaihi Wasallam Aur Hazrat Khizr Alaihissalam ~

Ek Martaba Huzoor Sallallahu Taala Alaihi Wasallam Masjide Nabwi Sharif Me The Ki Kisi Ki Aawaz Suni To Aapne Hazrate Anas Raziyallahu Taala Anhu Ko Bheja Aur Kaha Ki Unko Mera Salaam Kaho Aur Kaho Ki Mere Liye Dua Karen, Jab Hazrat Anas Raziyallahu Taala Anhu Ne Unse Jaakar Kaha To Jawab Dene Ke Baad Wo Kahne Lage Ki Main Kya Unke Liye Dua Kar Sakta Hoon Unhein To Tamam Ambiya Ka Sardaar Banaya Gaya Hai Hum To Khud Unki Dua Ke Mohtaj Hain, Hazrat Anas Raziyallahu Taala Anhu Waapas Aaye Aur Unka Paighaam Sunaya To Huzoor Farmate Hain Ki Wo Hazrat Khizr Alaihissalam The.

◻️ Isi Tarah Huzoor Sallallahu Taala Alaihi Wasallam Ke Wisaal Ke Din Ek Shakhs Safon Ko Cheerta Hua Aage Pahuncha Aur Sahaba Ko Tasalli Di Aur Phir Wo Gaayab Ho Gaya To Hazrat Abu Bakr Siddiq Raziyallahu Taala Anhu Maula Ali Raziyallahu Taala Anhu Se Farmate Hain Ki Ye Hazrat Khizr Alaihissalam The To Aap Farmate Hain Ki Bilkul Main Unhein Pahchaanta Hoon.

◼️ Isi Tarah Ek Martaba Hazrate Umar Farooque Raziyallahu Taala Anhu Ek Namaze Janaza Me Shirkat Ke Liye Khade Hue To Door Se Ek Shakhs Ne Aawaz Di Ki Rukiye Main Bhi Shaamil Hota Hoon, Baad Namaz Jab Usko Dhoondha Gaya To Na Mila To Hazrat Umar Farooque Aazam Raziyallahu Taala Anhu Farmate Hain Ki Ye Hazrat Khizr Alaihissalam The.

◻️ Iske Alawa Aur Bhi Sahabaye Kiram Se Mulakaat Ka Tazkira Milta Hai Aur Bahut Se Buzurgane Deen Se Bhi Aapki Mulakaat Saabit Hai, Sabka Zikr Karne Ke Bajaye Un Buzurgon Ke Naam Par Hi Iqtifa Karta Hoon.

Hazrat Daata Ganj Bakhsh Lahauri
Hazrat Makhdoom Ashraf Jahangeer Samnani
Hazrat Khwaja Bahauddin Nakshbandi
Hazrat Khwaja Abdul Khaliq Gajdwani
Huzoor Ghause Paak
Huzoor Mohiuddin Ibne Arbi
Hazrat Imaam Ahmad Bin Hambal
Hazrat Nizaami Ganjwi
Hazrat Ahmad Bin Alwi
Hazrat Shah Rukn Alam Multani
Hazrat Abdul Qahir Suharwardi
Hazrat Bishar Bin Haaris
Hazrat Khwaja Abdullah Ansari
Hazrat Abdul Shaikh Qalwi
Hazrat Maulana Jalaluddin Room
Hazrat Shaikh Saadi
Hazrat Khwaja Suleman Tansvi
Hazrat Khwaja Shamsuddin Siyalvi
Hazrat Ibne Jauzi
Hazrat Shaikh Badruddin Gaznavi
Hazrat Abdul Wahaab Muttaqi
Hazrat Jaafar Makki Sarhindi
Hazrat Kutubuddin Bakhtiyar Kaaki
Hazrat Muhammad Bin Samaak
Hazrat Abul Hasan Shaazli
Hazrat Shaikh Abu Madyan
Hazrat Abdurrahman Chhuhravi

📕 Rijalul Gaib, Safah 154-198

Ye Un Hazraate Muqaddasa Ke Naam Hain Jinke Baare Me Tafseel Se Kitab Me Likha Hai
Aur Jis Tarteeb Se Wakyaat Darj The Maine Usi Tarteeb Se Sabka Naam Likh Diya Martabe Ke Lihaza Se Nahin Likha, Lihaza Isme Aitraz Karne Jaisi Koi Baat Nahin Hai Ki Falan Buzurg Pahle Ke Hain Aur Bade Hain To Unka Naam Baad Me Aur Neeche Likha Hai,Aur Aisa Bhi Nahin Hai Ki Jinka Naam Likha Hai Sirf Unhi Hazraat Se Hazrat Khizr Alaihissalam Ki Mulakaat Huyi Hai Baaki Iske Alawa Kisi Se Nahin, Nahin Balki Aur Kitabon Me Aur Bhi Buzurgane Deen Se Mulakaat Ke Ahwaal Likhe Ho Sakte Hain Balki Honge Hi,Usi Tarah Shahar Qaazi Allahabad Hazrat Mufti Shafiq Ahmad Sharifi Sahab Qibla Farmate Hain Ki Harat Makhdoom Ashraf Jahangeer Samnaani Rahmatullah Taala Alaihi Apni Kisi Kitab Me Likhte Hain Ki Hazrate Khizr Alaihissalam Har Aadhe Ghante Me 1 Baar Hazrat Sayyad Saalaar Mas'ood Gaazi Rahmatullah Taala Alaihi Ke Aastane Mubarak Bahraich Sharif Me Haaziri Dete Hain.

End..... 🔚🔚🔚
--------------------------------------------------------
🖌️Post Credit~ Naushad Ahmad Zeb Razvi (Zebnews)

📌 Click Here For Relative Post-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/hazrat-khizr-alaihissalam-roman.html