✒Chapter- 3 " NAPAK CHIZON KE PAK KARNE KA TARIQAH "
______________________________________

Mas'ala:

Mani Agar Kapde Me Lag Kar Sookh Gai To Use Mal Kar Jhadne Se Kapda Pak Ho Jayga Agarche Uska Asar Nazar Aata Ho.
Isme Aurat, Mard, Insan, Janwar, Sab Ki Mani Ka Eik Hi Hukm Hai.
Badan Pe Agar Mani Lag Jaye To Wo Bhi Is Tarah Pak Hoga.
Jis Mani Lage Kapde Ko Mal Kar Pak Kiya Agar Wo Pani Me Bheeg Jaye To Napak Na Hoga.
Mani Agar Kapde Me Lagi Aur Ab Tak Geeli Hai To Dhona Padega Malna Kafi Nahi.
Malne Ka Hukm Khush Mani Ke Bare Me Hai.
{Fatawa Alamgeeri, Volume-1, Page-44}

Mas'ala:

Napak Zameen Sookh Gai Aur Napaki Ka Rang Aur Boo Jata Raha Wo Pak Hai, Chahe Hawa Se Sookhe Ya Dhoop Se Ya Aag Se Uspe Namaz Padh Sakte Hain Haan Uski Mitti Se Tayam'mum Jayez Nahi.
{Fatawa Alamgeeri, Jild-1, Page-44}

Mas'ala:

Jo Chiz Zameen Se Lagi Hai Napak Ho Gai Wo Sookhne Ke Bad Pak Hai.
Agar Use Zameen Se Alag Kiya Gaya Tab Bhi Pak Rahegi.
Napak Mitti Ke Bartan Banaye Jab Tak Wo Kachche Hain Napak Hain Aag Me Pakne Ya Dhoop Me Sukhne Ke Baad Pak Ho Gaye. {Fatawa Alamgeeri, Jild -1, Page-44}

Mas'ala:

Jo Chiz Sookhne Ya Ragadne Se Pak Ho Gai Wo Bheeg Gai To Napak Na Hogi.

{Bahare-E-Shariat, Hissa -2, Page-400}

Mas'ala:

Rooi Ka Gadda Agar Napak Hua Bachche Ke Pakhana Ya Peshab Se Ya Kis Chiz Se To Use Khole Aur Upar Ka Kapda 3 Baar Dho Kar Pak Kare Aur Rooi Ko Dhunwaye Pak Ho Jayga.
{Bahare-E-Shariat, Alamgiri, Fatwa Khaniyah}
--------------------------------------------------------
📕 HAQ KI BANDAGI

🖌️Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab Qibla

📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/haq-ki-bandagi.html