Rasool'Allah ﷺ Ki Wiladat Ko Eid Kehna Kaisa ?

Rasool'Allah ﷺ Ne Farmaya,

"Juma’ah Ka Din Sab Dino Ka Sardar Hai, Allah K Nazdeek Sab Se Bada Hai Aur Wo Allah K Nazdik " Eid-ul Azha " Aur " Eid-ul Fitr " Se Bada Hai. Allah Ne is Mein Hazrat-e-Adam عليه السلام
Ko Pa'ida Kiya, is Mein Zameen Par Unhe Utara Aur is Mein Unhe Wafat Di. "

📕( Sunan ibn-e-Majah, Jild No. 02, Page No. 08, Hadees No. 1084 )

is Hadees Mein Teen Khaslate Hazrat-e-Adam عليه السلام K Liye Bayan Ki Gayi Jis Mein Aap Ki Wafat-e-Zahiri Ka Bhi Zikr Hai, To Pata Chala Ki Ek Nabi Ki Paida'ish Un Ka Zameen Par Utarna Aur Un Ki Wafat K Din K Ba-Wajood Bhi Mo’mino K Liye Allah Ne Ushe Eid Bana Diya. Aur To Aur Woh Din Eid-ul-Azha Aur Eid-ul-Fitr Se Bhi Afzal Kar Diya.

Mairaj Ki Raat Aaqa-e-Kareem ﷺ Ne Tamaam Anbiya Ki imamat Ki Thi "

📕( Sunan Nisai, Jild No. 01, Page No. 221 )

Jaisa Ki Hadees Se Pata Chalta Hai Ki Hamare Sarkar ﷺ Tamam Ambiya K Sardar Aur imaam Hai'n, Un Ki Tashreef Aavari Par Hum Us Din Ko Kyu'n Eid Na Kahe, Bal K Hum To Ushe Eido'n Ki Eid Kahenge Ki Un Ki Tashrif Aavri Ki Wajah Se He To Hume Baki Eid Mili Aur Har Hafte
Mein Ek Eid Kar K Poore Saal Mein 52 Eid Yaani Jum'ah Ka Tohfa Mila Woh is He " Rehmat-ul-Aalameen " Ki Tashrif Aavari Se Mila Hai To Hum Kyu'n Us Din Khushi Na Kare ?