Juloos Nikalna Kis Ki Sunnat Hai ?

Aaye Dekhte Hai Eid-e-Milad-Un-Nabi ﷺ K Mauke Par Nikale Jaane Waale Juloos K Mustahab Amal Hadees Ki Roshni Mein

Pehle Hum Kuch Point Note Karlete Hai Ki Juloos Mein Hota Kya Hai ?

1 - Naat Padhi Jaati Hai Jis Mein Aaqa-e-Karim ﷺ Ki Shaan Aur Azmat Ka Bayaan Kiya Jaata Hai.

2 - Khushi Mein Jhandey Lehraye Jaate Hai.

3 - Log ikhattey Jama Hote Hai Aur Naare Lagaye Jaate Hai.

Yeh Sab Points Ko Ab Hum Hadees Ki Roshni Mein Dekhte Hai.

Point No. 01

is Ka Jawaab Aap Ko Eid-e-Milad-Un-Nabi ﷺ Post : 14 Mein Mil Jayega " Naat Shareef Padhna Kis Ki Sunnat ? "

Point No. 02

is Ka Jawaab Aap Ko Eid-e-Milad-Un-Nabi ﷺ Post No. 13 Mein Mil Jayega " Jhande Lehrana Kis Ki Sunnat ? "

Point No. 03

Juloos Nikalna Logo'n Ka Jama Hona.

Saboot No. 01

" Hum ( Sahaba-e-ikram ) Sab Apne Bachcho Samet Huzoor ﷺ K istiqbal K Liye Wida Ki Ghatiyo Tak Gaye "

( Bukhari Shareef, Jild No. 01, Page No. 543 )

Saboot No. 02

Jab Aaqa ﷺ Hijrat Kar K Madine Shareef Aaye To Logo'n Ne Khoob Jashan Manaya Nau-Jawaan Ladke Apni Chattan Par Chadh Kar Aur Ghulam, Khuddam Raasto Mein Phirte The Aur
Nara'Aey Risalat Lagate Aur Kehte Ya RasoolAllah ﷺ

( Sahih Muslim Shareef, Jild No. 02, Page No. 419 )

Magar Yeh Sab Karne Se Hota Kya Hai ?

Aaqa-e-Kareem ﷺ Ki Sifaat Aur Azmat Ka Bayan Sunana Aur Sunna Khud Allah عزوجل Aur Us K Ambiya (عليه السلام) Ki Sunnat Hai. Chunanche Allah عزوجل Qur'aan Mein Woh Waqaya Bayaan Farmata Jab Huzoor ﷺ Ka Zikr Kiya Gaya Toh Tamaam Ambiya ( عليه السلام ) Ko ikattha Kiya Gaya Aur Huzoor ﷺ Ki Sifaat Allah عزوجل Ne Ambiya ( عليه السلام ) Ko ikatha Kar K Khud Bayan Farmaya
( Surah Al Imran : 81 ).

Lihaza Yeh Sabit Huwa Ki Logo'n Ko ikattha Kar K Huzoor ﷺ Ki Sifaat Bayaan Karna Qur'aan Se Sabit Hai.

Zameen-o-Zama'n Tumhare Liye

Makin-o-Makah Tumhare Liye

Chuni-o-Chunah Tumhare Liye

Bane Do Jaha'n Tumhare Liye

Ya Rasool'Allah

📌 Click Here For Other Parts-

https://MjrMsg.blogspot.com/p/eid-e-milad-un-nabi.html