Eid-e-Milad-Un-Nabi ﷺ Aimma Wa Muhaddiseen Ki Nazar Mein
01 - imaam Jalaaluddin Suyuti رحمۃ اللہ علیہ Farmate Hai " Mera Maukif Ye Hai Ki Rasool-e-Muazam ﷺ Ka Youm-e-Wiladat Asl Mein Khushi Aur Musarrat Ka Ek Aisa Mauqa Hai Jis Mein Log Jam'ah Ho Kar Ba-Qadr-e-Sahulat Qur'aan Khawani Karte Hai Aur Woh Un Riwayaat Ka Tazkira Karte Hai Jo Rasool'Allah ﷺ K Baare Mein Manqool Ho Aur Huzoor Nabi-e-Kareem ﷺ Ki Wiladat-e-Mubarak K Maujizaat Aur Khariq-ul-Aadat Waqiyaat K Bayaan Par Mushtamil Ho Phir Us K Baad Un Ki Ziyafat Un K Pasandidah Khano Se Ki Jaati Hai. Woh is Bid'at-e-Hasana Mein Kisi izaafa K Bagair Laut Jaate Hai Aur is Ahtamaam Karne Waale Ko Huzoor ﷺ Ki Tazeem Ki Badaulat Aur Rasool'Allah ﷺ K Milaad Par Farhat Aur Dili Musarrat Ka izhar Karne Ki Bina Par Sawaab Se Nawaza Jata Hai. "
( Husn-ul-Maqasad, Fi Amaleel Mawleed )
02 - Mulla Ali Qaari رحمۃ اللہ علیہ Jo Fiqh-e-Hanafi Mein Mautabar Faqeeh Jinhe Deobandi Bhi Maante Hai. Mulla Ali Qaari رحمۃ اللہ علیہ Ne Jashn-e-Milaad-un-Nabi ﷺ Par Kitaab Likhi Hai " Al-Morid-ul-Ruvi Fi Maulidin Nabi ﷺ " Jis Mein 12 Rabbi-ul-Awwal Ko Milaad-un-Nabi ﷺ Manane Par Jamae Guftugu Ki Hai Aur Eid Milad-un-Nabi ﷺ Manane Ko Jaa'iz Aur Sawaab Samajhte Hai. Aur Afsos Hanafi Fiqah K is imaam Ko Deobandi imaam To Maante Hai Magar Un
K Milaad K Maukif Ko Nahi Maante !
Mulla Ali Qaari رحمۃ اللہ علیہ Ne is Kitaab Mein Milaad Manane Ka Zikr Kiya Hai Jis Mein 12 Wi Ko Majlees Qayam Karna, Naat Khawani Karna, Tarah Tarah K Khaane Pakana, Khushi Manana, Gareebo Ko Paise Dena, Aulma Ko Jam'ah Karna, Qariyo Ko Jama Kar K Qirat Ki Mehfil Sajana, Qism Qism Ki Naimato Ka Ahtamaam Karna , Khushbuye Lagana, Hazaaro Mishkaal Sona Kharch Karna, Aur Bohut Se Aamaal Jo Jaa'iz Aur Halaal Hai Ushe Karne Ka Zikr Farmaya Hai.Deobandi imaan K Saath Mulla Ali Qari رحمۃ اللہ علیہ Ki is Kitaab Ko Padhe Aur Hidayat Haseel Kare.
03 - Muhaddis imaam ibn-e-Jawzi رحمۃ اللہ علیہ ( Born 510 Hijri - Parda 579 Hijri ) Makkah Mukarrama, Madina-e-Munawwarah, Misr, Shaam, Yaman Garz Sharq Se Garb Tak Arab Shareef K Bashinde Milaad-un-Nabi ﷺ ِ Ki Mehfile Munaqid Karte Aaye Hai. Jab Rabi-ul-Awwal Ka Chaand Dekhte Hai To Un Ki Khushi Ki inteha Nahi Rehti Chunaanche Zikr-e-Milaad Padhne Aur Sunne Ka Khususi Ahtamaam Karte Hai Aur Be-Panah Ajr wa Qamyabi Haseel Karte Hai "
( ibn-e-Jawzi - Al Milaad-un-Nabi ﷺ Page No. 57)
Wahabi Kya Fatwa Lagayege imaam ibn Jawzi Par Aur Ahle Arab Par ?
04 - imaam Shamsuddin Al Juzri ( 660 Hijri ) Phir Main Ne ( Suyuti ) imaam-ul-Qurra Hafiz Shamsuddin Al Juzri Ki Kitab " Urfut Tareef Fi Mawlid Ash Shareef " Mein Ye ibarat Dekhi. Abu Lahab Ko Marne K Baad Khawaab Mein Dekha Gaya. Us Se Pucha Gaya Ab Tera Kya Haal Hai ?
Kehne Laga Aag Mein Jal Raha Hu. Taaham Har Peer K Din Mere Azaab Mein Takhfeef Kar Di Jaati Hai. Ungli Se ishara Karte Huwe Kehne Laga Ki ( Har Peer Ko ) Meri in Dono Ungaliyo K Darmiyaan Se Paani Ka Chashma Nikalta Hai Jis Se Mein Pee Leta Hu Aur Ye Takhfeef-e-Azaab Mere Liye is Wajeh Se Hai Ki Mein Ne Sufiya Ko Aazaad Kiya Tha Jab Us Ne Mujhe Muhammad ﷺ Ki Wiladat Ki Khushkhabri Di Aur Us Ne Aap Ko Doodh Bhi Peelaya Tha. Jab Abu Lahab Jaise Kaafir Ka Ye Haal Hai Jis K Baare Mein Qur'aan-e-Majeed Mein Mazammat Nazil Huwi Ki Baawajood is K Huzoor Nabi-e-Kareem ﷺ Ki Wiladat Ki Khushi Mein Peer Ki Raat Us K Azaab Mein Takhfeef Kar Di Jaati Hai To Phir is Muhid ( Tauheed Parast ) Ummati Ka Kya Haal Hoga Jo Rasool'Allah ﷺ Ki Milaad Par Khushi wa Musarrat Ka izhaar Kare Aur Hasb-e-istedaad Rasool'Allah ﷺ Ki Muhabbat Ki Wajeh Se Kharch Kare. Mujhe Apni Umar Ki Qasam Beshak is Ki Jazaa Rab-e-Kareem Zaroor Dega Aur Apne Fazlo Karam Se Us Se Jannat Ki Nemato'n Mein Daakhil Karega.
( imaam Suyuti Ne Husn-ul-Maqasid Fi Amaleel Mawlid, Page No. 65 - 66 )
( Allama Yousuf Salahi Ne Subl-ul-Huda wal Rushad, Jild No. 01, Page No. 366 )
📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/eid-e-milad-un-nabi.html