Munqireen-e-Eid-e-Milad-Un-Nabi ﷺ K Jahilana Post K Jawabaat...

Aitraz No. 04

Tum Sunni Jis Din Eid-e-Milad-Un-Nabi ﷺ Manaate Ho Us Din Fatima Radi Allahu Ta'ala Anha Ne Farmaya Tha Aaj Muhammed ﷺ Ki Beti Par Gham Ka Wo Pahad Tuta Hai Agar Suraj Par Toot Jata Toh Suraj Apni Roshni Ko Barbaad Kar Baith taa !

Tum Sunni Ashiq-e-Rasool ﷺ Us Din Eid-e-Milad-Un-Nabi ﷺ Manate Ho Jis Din Umar Radi Allahu Ta'ala Anhu Apne Hosh-o-Hawaas Kho Baithe Teh

Tum Sunni Us Din Eid-e-Milad-Un-Nabi ﷺ Manate Ho Jis Din Hasnain Nana Nana Kartey Huwe Roh Rahe Teh

Tum Sunni Us Din Eid-e-Milad-Un-Nabi ﷺ Manate Ho Jis Din K Baad Fatima Radi Allahu Ta'ala Anha K Chehre Par Kisi Aurat Ne Muskurahat Nahi Dekhi Thi

Tum Sunni Us Din Eid-e-Milad-Un-Nabi ﷺ Manate Ho Jis Din Muhammed ﷺ Ki Wafaat K Baad Rome K Badshaho'n Ne Keh Diya Tha Madine Shareef Ki Eint Se Eint Baja Do in Ka Sardar Faut Ho Gaya Hai

Tum Sunni Us Din Juloos Nikalte Ho Jis Din Sahaba Gham Se Nidhaal Teh

Tum Sunni Us Din Jalsa Aur Juloos Nikalte Ho Jis Din Ummat-ul-Momineen Hazrat Aisha Radi Allahu Ta'ala Anha Ka Suhaag Lut Gaya Tha !

Tum Sunni Us Din Jalsa-o-Juloos Nikalte Ho Jis Din Mere Muhammed ﷺ Ne Aisha Radi Allahu Ta'ala Anha K Godh Mein Apni Jaan Ko Rab K Hawale Kar Diya Tha !

Allah Ki Khasam Ye Mere Nabi Se Muhabbat Nahi Dushmani Hai !

Say No To Milad, Wake Up Ya ikhwaan

Jawaab No. 03
Pehli Baat To Yeh Hai K Yeh Sirf Fuzool Ki Jahalat Hai Jis Bad-Aqeedah Ne Yeh Aitraz Kiya Us Bad-Aqeedah Ne Nahi Koi Daleel Di Aur Na He Koi Mazmoon Par Baat Kiya, Bas Waqiyaat Ko Gol Mol Kar K Pesh Karta Raha, Baat Yeh Hai K Maiyat Par 3 Din Se Zayada Soog Yaani Ghum Ki Shari'at Mein ijazat Nahi Hai, Lehaza Koi Bhi Yeh Sabit Nahi Kar Sakta Hai K Aaqa-e-Kareem ﷺ K Parda Farmane K Baad Kisi Sahabi Ne 3 Din Se Zayada Zahiri Wafat K Baad Soog Yaani Ghum Kiya Ho, Yeh Jis Ney Bhi Jahilana Aitraz Banaya Hai is Ko Zahiri Wafat K Din K Waqiyaat Tou Yaad Hai'n, Peda'ish K Din K Waqiyaat Yaad Nahi, Agar Shetaan Ne Ankho'n Par Patti Bandh
Di Hai Tou Us Patti Ko Kholo Aur Dhyan Se Dekho.

Ab in Ki Munafikat

Kya is Bad-Aqeedah Ne Kabhi Apne Baap Dada Ka 3 Din Gham Manaya ( Teeja Kiya ) ?

Kya is Bad-Aqeedah Ne Kabi Apne Baap Dada Ka 40 Din Gham Manaya ( 40 Wa Kiya ) ?

Kya is Bad-Aqeedah Ne Kabi Apne Baap Dada Ka 1 Saal Ka Gham Manaya ( Barsi Kiya ) ?

Nahi Na ?

Aur Chale Hume'n Gham Manao Bolne K Liye Aur Hum Sunniyo Ko Dushman Kehta Hai Rasool ﷺ Ka Kambakht Tum Gustakh-e-Rasool ﷺ Kabhi Nahi Sudhar Sakhte Apne Baap Dada Ka Gham Na Kiya Kabhi Aur Aaj 1400 Saal Bad Zinda Nabi ﷺ Ka Gham Manane Ki Yaad Aaraha Hai ?

Shari'at Ne Hume'n 3 Din Se Zayada Gham Banane Ki izazat Nahi Di. Deobandi, Tabligee, Wahabi, Nazdi, Ahle Khabees Tum Kis Ki Shari'at Par Amal Karte Ho ?

Hum Se Kehte Ho Ki Kis Sahabi Ne Milaad Manaya Batao. Hum To Daleel De De Kar Thak Gaye Magar Tum Sirf Ek Daleel Batao Ki
Kis Sahabi Ne Har Saal 12 Rabbi-ul-Awwal Ko Gham Aur Youm-e-Wafaat Manaya Aur Kis Sahabi Ne 12 Rabbi-ul-Awwal Ko Gham Banane Ka Hukm Diya ?

Qur'aan Aur Hadees Se Sabit Karo

Kis Muhaddis, Mufassir, Mufakkir, Wali, imaam Ne 12 Rabbi-ul-Awwal Ko Har Saal Gham Manaya Aur Youm-e-Wafaat Manaya ?

Kisi Ek Kitab Ka Hawala De Do

Qur'aan-e-Kareem wa Furqan-ul-Hameed Ki Surah Anbiya Ayat No. 107 Mein Huzoor ﷺ Ko Tamaam Jahano'n K Liye Rehmat Kaha Gaya. Aur Ek Jagah Qur'aan-e-Kareem wa Furqan-ul-Hameed Surah Younus Ki Ayat No. 58 Mein irshad Huwa: " Allah ﻋﺰﻭﺟﻞ Ki Ata Kurda Rehmato'n Ka Khub Charcha Karo"

To Huzoor ﷺ Se bedh Kar Hamare Liye Rehmat Konsi Hai ?

Allah Ki Rehmat Milne Par Ghum Manana Chahiye Ya Khushi Karni Chahiye ?

Mein To Khushi He Manaunga Meri Samjh Mein Yeh Hi Aata Hai Meri Samjh Mein Kya Har insaan Jis K Pass Dimaag Hoga Woh Khushi He Manayega Kyu'n K Aaqa-e-Kareem ﷺ Se Badi Nemat Koi Nahi Hai.

Ab Jis Bad Aqeedah Ne Yeh Sawaal Kiya Hai Us K Baare Mein Samjh Mein Toh Ye He Aata Hai K Woh Aala Darje Ka Jahil Hai. Na Ushe Deen Ka ilm Hai Aur Na He Duniya Ki Samajh

Allah Aise Bad Aqeedah Logo Se Hum Momino Ki Hifazat Farmaye. Ameen

📌 Click Here For Other Parts-

https://MjrMsg.blogspot.com/p/eid-e-milad-un-nabi.html