Naat-e-Mustafa ﷺ Padhna Kis Ki Sunnat Hai ?

Saboot No. 01

Huzoor ﷺ Hazrat Hassan رضی الله عنہ K Liye Masjid-e-Nabawi Shareef Mein Mimbar
Rakhte Aur Hazrat Hassan رضی الله عنہ Us Par Khade Ho Kar Huzoor ﷺ Ki Shaan-e-Aqdas Mein Natiya Ashaar Padhte The Aur Huzoor ﷺ Farmate Jab Tak Hassan Mere Baare Mein Naatiya Aur Fakhariya Ashaar Padhta Rahega To Beshak Allah Ta'ala Ruh-ul-uqdas ( Hazrat Jibrail عليه السلام ) K Zariye Hassan Ki Madad Farmata Hai "

( Sunan Abu Dawood, Kitab-ul-Adab, Baab Fi'Shaar, Jild No. 05, Page No. 176, Hadees No. 5015 )

( Sunan Tirmizi, Kitab-ul-Adab, Baab Fi'inshad'Shaar, Jild No. 03, Page No. 561-562, Hadees No. 2846 )

Saboot No. 02

Hadees Mein Hai Ki Ek Sahabi رضی الله عنہ Ne Arz Kiya K Mujhe Huzoor ﷺ Ki Wo Waali Naat
Sunao Jo Turait Mein Hai "

( Mishkaat Shareef, Bab-ul-Fazail, Syed-ul-Mursaleen, Page No. 512 )

Kya Ab Bhi Naat Nahi Padhoge ?

Sahaba-e-ikraam Ki Sunnat Par Amal Nahi Karoge ?

📌 Click Here For Other Parts-

https://MjrMsg.blogspot.com/p/eid-e-milad-un-nabi.html