Munqireen Ne Eid-e-Milad-Un-Nabi ﷺ K Jahilana Aitraazo K Jawabaat.

Aitraaz No. 01

Aala Hazrat Radi'Allahu Ta'ala Anhu Ne Aaqa-e-Kareem ﷺ Ki Wiladat Ka Din 8 Rabi-ul-Awwal Likha Hai ?

Jawaab No. 01

Aala Hazrat imaam Ahmed Raza Khan Fazile Bareilly Radi'Allahu Ta'ala Anhu Ne Yaum-e-Wiladat-e-Mustafa ﷺ K Baare Mein 7 Aqwaal ( 02, 08, 10, 12, 17, 18, 22 ) Tehreer Karne K Baad Farmate Hai Ki Jamhur Ulma Wa Muhaqiqeen K NazdeeK 12 Rabi-ul-Awwal He Wiladat Ka Din Hai. Aur islaam Mein 12 Rabi-ul-Awwal Ko He Milaad Shareef Manaya Jaata Hai.

( Fatawa-e-Razwiya, Jild No.14, Page No. 365 )

Aitraaz No. 02

Milaad Manana Biddat Hai !
Kya Sahaba Ne Kabhi Milad Manaya Hai Jaise Aap Log Manate Ho ?
Jawaab No. 02
Watch / Download This Video From Youtube

" Allama Kokab Noorani Okarwi 12th Rabi-ul-Awwal "

https://youtu.be/jnSyCyXpxXI

is Video Mein Kuch Points Jo Allama Kokab Noorani Sahab Farmate Jis Ki Mafhoom Hai, " Biddat Ki Definition He Nahi Pata Munqireen Ko.

Aise Lakho'n Kaam Hai Jo Sahaba Ne Nahi Kiya Tum Karte Ho. Agar Aise Kaam Biddat Hai Jo
Aaqa-e-Kareem ﷺ K Zamane Mein Nahi Thi Aur Ab Hai Toh Kya Tum The Us Zamane Mein ?

( Yaani Tum To Khud Chalti Phirti Biddat Ho )

Jab He To Aala Hazrat Mujaddid-o-Deen-o-Millat Ne Farmaya

Tujhe Se Aur Jannat Se Kya Matlab Wahabi Door Ho
Hum Rasool'Allah ﷺ K Jannat Rasool'Allah ﷺ KI

📌 Click Here For Other Parts-

https://MjrMsg.blogspot.com/p/eid-e-milad-un-nabi.html