Rasool'Allah ﷺ Ki Wiladat Ko Eid Kehna Kaisa ?

Aaiye Pahele Hum Eid Ka Matlab Samajh Lete Hai Eid Ka Lugvi Ma'ina ( Meaning ) Hai Khushi Agar Koi Arabi Khushi Ka Lafz Arabi Mein Kahega To Wo Yaahi Kahega " Eid " ishe Samjhane K Liye Qur'aan-e-Kareem wa Furqan-ul-Hameed Surah Maida Ki Ayat No. 114 Ek Ayat Pesh-e-Khidmat Hai,

" Essa ibn-e-Mariyam Ne Arz Ki Aye Allah ! Aye Rab Hamare ! Hum Par Aasman Se Ek Kuwan Utar K Woh ( Kuwan Utarne Ka Din ) Hamare Liye Eid Ho, Hamare Aglo'n Aur Pichlo Ki "

is Ayat Se Maloom Huwa K Jis Din Allah Ki Khas Rehmat Nazil Ho Us Din Ko Eid Manana Aur Khushi Manana Allah Ka Shukar Ada Karna Ambiya Ka Tarika Hai Tabhi To Hazrat Essa عليه السلام Ne Dua Mangi.

Aap Khud Faisla Kare K Jis Din Hazrat Essa عليه السلام Par Kuwan Jaisi Nemat Utri To Wo Un
K Agly Aur Pichlo'n K Liye Eid Ho To Jis Din Saare Alam K Liye-o-Jaha'n K Liye Jo Zaat Rehmat Hai Un Ki Wiladat Ho To Us Din Musalmano K Liye Eid Yaani Khushi Kaise Na Ho ?

📌 Click Here For Other Parts-

https://MjrMsg.blogspot.com/p/eid-e-milad-un-nabi.html